3D Photo Edit Kaise Kare ? Image & Text Ko 3D Kaise Banaye [Mobile Se] 0 Parvez Sunday

 Hello friends aajke is post me main aap logo ke sath share karne wala hu ki 3d photo kaise edit kare aur kisi bhi photo and text par 3d effect kaise add kare wo bhi aapne android mobile se. Aagar aapko photo editing karna accha lagta hai aur aap chahate hai aapne mobile phone se kisi bhi photos and text ko aap 3d karoge to aajke is post ko follow karke aap asani se kar sakte ho. Aabhi computer me jo kam hota hai lagbhag wo sare kam mobile par bhi ho jata hai. 3D aabhi bahut high technology hai aur aabhi bahut popular bhi hai video ko 3D karna aam bat nahi hai lekin chaheto aap aapne kisi bhi photo ko 3d bana sakte ho. to dosto chaliye dekhte hai kaise banate hai 3d photo and text.

https://www.myhinditricks.com/2017/04/photo-par-naam-kaise-likhe-in-hindi.html

3D Photo Kaise Banaye ?

3D photo banane ke liye aaj ham use karenge ek android mobile app jiska naam hai "PixelLab" ye bahut popular ek photo editing app hai aur aap isi app ko istemal karke aapne kisi bhi photo and kisi bhi text ko 3d bana sakte ho. to isko use kaise karte hai niche step by step main bata diya hai aap just follow kare.

Step 1. Pahle aap niche se PixelLab app ko aapne mobile phone par install kare free hai, install karne ke bad open kare.
Step 2. Aap ko install karke open karne ke bad aap dekhiye pahle aapko Text edit karne ke liye bolega, but ham pahle sikhenge photo ko 3d kaise banate hai, uske bad aap Text ko delete kare aur upar se (+) icon par click kare uske bad "form gallery" button par click karke jis photo ko 3d karna hai usko mobile gallery se select kare.

Step 3. Photo ko select karne ke bad aap niche 3rd Effect option par click kare uske bad slide karke 3D shape option ko select kare.

Step 4. Aab aapke samne kuch option ayega aap usme se "Enable" button ko On kare uske bad niche se "y rotation" option ko thoda badaye to aapko 3d effect dekhne ko milega, isi option ke under aapko aur bhi bahut option milega aap 3d shape ko change kar sakte ho aap ek ek karke har ek effect ko check kare jo accha lagta hai usi ko select kare right icon par click kare.

Step 5. Aapka 3d effect add ho gaya hai aabhi aap aur bhi bahut kuch kar sakte hai aapne photo ko sath aap aabhi aapne hisab se edit kare kare, aagar aapke edit complete ho jata hai aur aapko photo save karna hai to aap upar se save par click karke photo ko aapne phone gallery par save kare. aagar aapko photo background par koi colour nahi chaiye to aap "transparent" par click karke background ko remove kar sakte ho.

Text Ko 3D Kaise Banaye ?


Aagar aapko 3d text banana hai to aap just PixeLab app ko open kare, aapke samne text open hoga aap effect option se 3D style choose kare uske bad text ke upar click karke aapna name ye jis text ko 3d karna chahate hai wo type kare uske bad text ko save kare.


Friends main ummid karte hai ki aapko is post se 3D photo and text kaise karte ho wo jankari mil gaya hai, aagar aapko sach me ye post accha laga hai to please post ko aapne dosto ke sath share kare taki unko bhi is post ke bareme pata chale aajke liye itna hi thanks.
अगर आपको ये पोस्ट अच्छा लगा है तो निचे कमेंट करे, और कोई भी गलत शब्द का इस्तेमाल ना करे. अगर कोई भी गलत कमेंट किया तो आपके कमेंट डिलीट कर दिया जायेगा.

Post a Comment

0 Comments