Baal jhadne ke karan aur upay in hindi: Umar badhne ke sath hair fall ki samasya hona normal hai par samay se pahle balo ka jhadna aur girna ganjepan ke lakshan bhi ho sakte hai. Jadatar pursho me baal jhadne ke mukhay karan genetic hote hai aur mahilao me harmon me badlav aana aur balo ke liye jaruri vitamin ki kami hone se baal jhadte hai. Balo ki samasya ka samadhan karne ke liye kuch log dawa (medicine) ka sahara lete hai. Achanak baal jhadne ke karan ka pta lagne ke baad gharelu upay aur nuskhe apna kar aasan tarike se balo ka ilaj kiya ja sakta hai. Aaj is lekh me hum janege hair fall ke karan kya kya ho sakte hai aur kis vitamin ki kami se baal jhadte hai.
Hamare sir me lakho baal hote hai aur 50 se 100 baal har roj girna normal hai. Mausam aur jagah badlne ki wajah se bhi kai bar baal jada jhadte hai aur agar aap ke baal normal se jada jhadte hai to iske kai karan ho sakte hai.
किस विटामिन के कारण बाल झड़ते है – Balo Ke Liye Vitamin
- Balo ke liye konsa vitamin jaruri hai, agar aapke man me bhi ye sawal hai to iska jawab hai vitamin E, B12, C, A. Balo ko ghane aur lambe karne ke liye apne aahar me aese food khaye jinse balo ko jaruri poshak tatav mil sake.
- Vitamin B12 baal jhadne se rokne me kaam aata hai. Apni diet me palak, anda, chakundar, dahi aur doodh adhik khaye.
- Baal kale karne aur shining ke liye vitamin A kafi upyogi hai. Isse baal mote hote hai aur balo ki jade bhi majbut hoti hai. Palak, gajar, doodh aur sakargand me vitamin A bharpur hota hai.
- Baal safed hona aur balo me rukhapan aane jesi samasya ke ilaj me vitamin C wale food khaye, jese ki santra, amrud aur khatte fal.
- Hair fall rokne me vitamin E bhi faydemand hai. Badam, machli, palak aur mungfali me iski matra adhik hoti hai.
बाल झड़ने के कारण और उपाय
Baal Jhadne Ke Karan Aur Upay in Hindi
1. Aksar kuch logo ke sath ye samasya hoti hai ki unke sir ke 1 side ke baal jhadne lagte hai aur ganjapan ki samasya aane lagti hai. Aese me ve naye baal ugane ke upay gharelu nuskhe aur dawa ka sahara lete hai.
2. Pursho me baal jhadne ka mukhay karan genetic hota hai matlab ki agar pita ko balo ki samasya hai to vo bete me bhi ho jati hai. Aese me acha aahar le kar ganjepan aur balo ka jhadna kam kiya ja sakta hai.
3. Periods aur pregnancy ke samay mahilao me harmon me badlav hote hai jis karan hair fall hone lagta hai.
4. Jada tension lene se bhi baal girne ki samasya ho sakti hai, kyuki iska bura asar body me harmons ki growth par padta hai.
5. Thyroid ke rog me bhi thyroid harmon ka parwah thik se naa hone ke karan baal jhadne aur tutne lagte hai.
6. Baal lambe aur ghane karne ke liye bahut se log hair beauty product paryog karte hai. Hair gel, shampoo aur conditioner jese product ka lambe samay tak paryog karne se bhi baal jhadte hai.
7. Baal sukhne aur hair style bnane ke liye bahut se log hair dryer istemal karte hai, par har roj iske paryog se bhi baal tutne aur girne ki problem aane lagti hai.
8. Gungune pani me baal dhone se balo ki jade kamjor ho jati hai jisse baal jhadne lagte hai. Jada dandruff hone se bhi hair fall hota hai.
9. Kisi nayi jagah par jane se wha ka paani suit naa karna ya fir mausam me achank badlav aana kuch aese karan hai jisse balo ki samasya hone lagti hai.
10. Baat baat par dard nivarak dawa ka sevan karne se body immunity kamjor hone lagti hai jiska asar body par padta hai, iska bura asar balo par bhi padta hai.
बाल झड़ने से रोकने के लिए क्या करे – Baal Jhadne Se Rokne Ke Tips
- Balo ki samasya ke smadhan ke liye swasth jivanshelly apnaye aur acha aahar khaye.
- Hafte me kam se kam 2 bar sarso ka tel, nariyal tel, aawle ya fir badam ke tel se balo ki jado tak ache se malish kare.
- Jada garam paani se baal nahi dhone chahiye.
- Baal jhadne se bachne ke liye tej dhoop se bachaye.
- Balo par iron, hair dryer ke paryog se balo ko nuksan hota hai, isliye inka paryog kam se kam kare.
- Hair color, dye, hair jel aur dusre cosmetic wale hair ke beauty product ka istemal kam se kam kare.
0 Comments